Education logo

Muslim Life Pro App Promo

Muslim Life Pro: Your Complete Islamic Companion

By Muslimlifepro.comPublished 2 years ago • 3 min read

Wo Mera Ali Mera Ali Mera Ali Hai / वो मेरा अली मेरा अली मेरा अली है

ya ameer-ul-momineen

ya ameer-ul-momineen Muslim

'ali 'ali 'ali 'ali 'ali 'ali 'ali

'ali 'ali 'ali 'ali 'ali 'ali 'ali Islamic

jo sher-e-KHuda, shaan-e-nabi, shaah-e-wali hai

wo mera 'ali, mera 'ali, mera 'ali hai

wo mera 'ali hai, wo mera 'ali hai Naat Lyrics

wo mera 'ali, mera 'ali, mera 'ali hai

shaah-e-mardaa.n, sher-e-yazdaa.n, quwwat-e-parwardigaar

laa-fataa illa 'ali, laa-saif illa zulfiqaar

duniya-e-wilaayat ki jise shaahi mili hai

jis ke dar-e-'aali pe jabee.n sab ki jhuki hai Wallpapers

wo jis ki sahaaba me.n bahut shaan ba.Di hai

wo mera 'ali, mera 'ali, mera 'ali hai

wo mera 'ali hai, wo mera 'ali hai

wo mera 'ali, mera 'ali, mera 'ali hai

jo muflis-o-laachaar ko deta hai sahaara

chamkaata hai jo sab ke muqaddar ka sitaara

har ek bala jis ke waseele se Tali hai

wo mera 'ali, mera 'ali, mera 'ali hai

wo mera 'ali hai, wo mera 'ali hai

wo mera 'ali, mera 'ali, mera 'ali hai

wo jis ke liye shaah ne sooraj ko phiraaya

wo jis ne diya 'ishq-e-muhammad ka jalaaya

wo jis ki sana KHud mere sarkaar ne ki hai

wo mera 'ali, mera 'ali, mera 'ali hai

wo mera 'ali hai, wo mera 'ali hai

wo mera 'ali, mera 'ali, mera 'ali hai

shaah-e-mardaa.n, sher-e-yazdaa.n, quwwat-e-parwardigaar

laa-fataa illa 'ali, laa-saif illa zulfiqaar

har ek taraf jis ki wilaayat ka hai charcha

abdaal-o-wali, Gaus-o-qutab jis ke hai.n shaida

wo jis ke dar-e-paak pe rif'at bhi jhuki hai

wo mera 'ali, mera 'ali, mera 'ali hai

wo mera 'ali hai, wo mera 'ali hai

wo mera 'ali, mera 'ali, mera 'ali hai

ik aan me.n darwaaza-e-KHaibar ko ukhaa.Da

ik waar me.n hi jis ne hai marhab ko pachha.Da

jis zaat ki kaunain me.n ik dhoom machi hai

wo mera 'ali, mera 'ali, mera 'ali hai

wo mera 'ali hai, wo mera 'ali hai

wo mera 'ali, mera 'ali, mera 'ali hai

'ali 'ali 'ali 'ali 'ali 'ali 'ali

'ali 'ali 'ali 'ali 'ali 'ali 'ali

ummat ka nigahbaan jise rab ne banaaya

sarkaar ne bistar pe jise apne sulaaya

jis zaat ka qur.aan me.n bhi zikr-e-jali hai

wo mera 'ali, mera 'ali, mera 'ali hai

wo mera 'ali hai, wo mera 'ali hai

wo mera 'ali, mera 'ali, mera 'ali hai

jo pal me.n faqeero.n ko banaata hai shahanshah

jannat ki tarah, Saif-e-hazee n jis ki hai dargaah

hasnain ka baba hai jo daamaad-e-nabi hai

wo mera 'ali, mera 'ali, mera 'ali hai

wo mera 'ali hai, wo mera 'ali hai

wo mera 'ali, mera 'ali, mera 'ali hai

Online

Muslim Community

KHwaja piya mere KHwaja piya

KHwaja piya mere KHwaja piya

dilli rajasthan tumhaara, ya KHwaja

saara hindustaan tumhaara, ya KHwaja

jag me.n wo sammaan kabhi na paaega

jis ne kiya apmaan tumhaara, ya khwaja

mere KHwaja ka dar baaqi rahega

miTaane waala ik din KHud miTega

biThaae oonT to wo uTh na paae

kaTore me.n samandar ko samaae

jo nawwe laakh ko kalma pa.Dhaae

bataao wo bhala kaise miTega

mere KHwaja ka dar baaqi rahega

miTaane waala ik din KHud miTega

mera KHwaja yahaa.n ka hukmaraa.n hai

usi ke dam se ye hindustaa.n hai

usi ka hind me.n sikka rawaa.n hai

wo haakim hai, sada haakim rahega

mere KHwaja ka dar baaqi rahega

miTaane waala ik din KHud miTega

unhe.n bheja hai sultaan-e-jahaa.n ne

'ali-o-faatima ke hai.n wo pyaare

mere shabbir-o-shabbar ke dulaare

sada un ka yahaa.n sikka chalega

mere KHwaja ka dar baaqi rahega

miTaane waala ik din KHud miTega

yahaa.n hindu musalmaa.n sikh hai.n aate

muraade.n apni hai.n wo paa ke jaate

ye hindustaaniyo.n ke hai.n dulaare

yu.nhi un ka sada charcha rahega

mere KHwaja ka dar baaqi rahega

miTaane waala ik din KHud miTega

yahaa.n hindu musalmaa.n saath reh kar

salaami dete hai.n KHwaja ko jhuk kar

bila-tafreeq sab qurbaa.n hai.n un par

koi ajmer ka kya kar sakega

mere KHwaja ka dar baaqi rahega

miTaane waala ik din KHud miTega

mila, Shauq-e-Fareedi un se imaa n

mili hindustaa.n ko un se pehchaa n

jo un se buGz rakkhe wo hai naadaa n

sada KHwaja ka dar raushan rahega

mere KHwaja ka dar baaqi rahega

miTaane waala ik din KHud miTega

high school

About the Creator

Muslimlifepro.com

Enjoyed the story? Support the Creator.

Subscribe for free to receive all their stories in your feed.

Subscribe For Free

Reader insights

Comments

There are no comments for this story

Be the first to respond and start the conversation.

Sign in to comment
    Written by Muslimlifepro.com